Oo Shayaro ki mehfil mein shayaron ka istakbaal hai bhaiyon mujhe hame aap sabko kiska intezaar hai bhaiyo, chaliye shuru karte hai hamare shayarana shamsi shayari no.04 ka 4th part hain.

Ummed karta hu ke aapko yeh shayariyan pasand aayegi, agar aapko aaye to Zaroor hamare is shayarana shamsi website ko Bookmark kare.

in the corner old man image crying, and other side text shows as "Meri Gurbat ne kiya zamaane me badnaam"

Shayari No.01

Ab Waqt-e-Gurbat mei

Bezubaano ko zubaan aayi

Jab zamaana-e-Shaahi tha

Baazubaa be zubaa hua karte the

Par Shams lafze The aur Hai me hai fark kitna

woh baat kal ki thi aaj to tu yaha hai na!

Translation (Tarjuma): Shayar shams kehta hai jab meri gareebi ka waqt aaya to jo mere saamne kuch bolte na the woh kuch is tarah bolne lage ki jaise bezubaan ko zubaa aayi,Shams kehta hai ki jab mai paiso se ameer tha mere saamne Zubaan daar bhi be zubah hua karte the, aur phir  aaj ka zaahir zamaane me aakar yeh kehta hi ki woh purani baatein thi aaj to yeh jo hai wahi haina.

Shayari No.02

Dekh liya hai tujhe par raaz bataana nahi chahta

Mai shams hu Shamsi ko raaz batana nahi chahta

Meri har baat par raazi hone wale tu bata

Koi baat hai jo tu mujhe batana nahi chahta

Main to pagal hu itna ke bohot

Jise bhi pagal dekhna ho mujhe dekhle

Translation (Tarjuma): Shamsi kehta hai ki maine use kuch is tarah se dekh liye hai ki main uske baare me sab kuch jaanta hu par kya jaanta hu yeh bataana nahi chahta, Aur achanak se aaj kal meri har baat pe raazi hone wale zara mujhe tu yeh to bata kuch koi agar magar waali baat to nahi jo tu mujhse chupaana chahta hai, Bhai shams kehta hai ki tum agar mujhe pagal samjhti ho to bhi theek hai mai bohot bada pagal hu, aur phir khud hi ailaan karta hai ke Bhaiyon aur behno agar tum me se kisi ko Pagal dekhne ka Man kare Dil Kare to aap mujhe dekhle.

Shayari No.03

Teri Muhabbat Bada barbaad kar rahi hai mujhe

Mere saaye me ab tera saaya nazar nahi aata

woh baatein jab tu kehta tha

Meri is nazro se ab woh aashnaa hi nahi

Meri baatein ab bhi wahi hai

Teri baatein mera saaya bhi nahi hai

Yeh muhabbat bada barbaad kar rahi hai mujhe 

Mera kafaara jo ke mera tha ab woh mera hi nahi hai

Translation (Tarjuma): Yeh Pagal shamsi kehta hai ki uske mehboob ki muhabbat bada pareshaan use karne lagi hai lekin kyu yeh sune, Jo mere mehboob ke andar pehli baat thi ab mujhe nazar nahi aati aye mehboob tu kuch badla badla sa nazar aata hai, Meri nazro se teri har baat acche tareeke se waakif hai, ab jo tu jis tarah ki baatein karta hai usse bilkul mujhe tu mera lagta hi nahi hai, Phir shams Do baara yeh kehta hai  ki jo jis Khaas shaks ya mehboob ko maine jaana tha jo mera tha ab woh mujhe mera nazar nahi aata.

Conslusion: To yeh thi aaj ki Tanha Shamsi Link list me ki 1st Shayari blog aur hamaare running Shayari series Shayarana shamsi ki 4th Shayari, Badi ummeed karta hu ki aapko pasand aayegi.

Here you can see our Latest YouTube Channel Video:

Previous Parts of Shayarana Shamsi Shayari Series, listed below:

1st Part: Click here to watch!

2nd Part: Click here to watch!

3rd Part: Click here to watch!

4th Part: Click here to watch!

Also you can follow us on Social media and please must Subscribe our YouTube Channel!

"Bookmark us if you like our Shayaries!"