Chaliye Shuru karte hai hamari ek aur brand new Original Content ki taraf, aaj ka jo unwaan hone wala hai woh bohot apko pasand aane wala hai aaj ka unwaan hai Shayarana Shamsi Nazm (Mehboob ki Galiyaan) jo ki ek Khoobsurat par Dard Bhari Nazm hain.

Hamare yeh Nazm Mehboob ki Galiyan agar aapko pasand aaye to hamare is website ko zaroor zaroor Bookmark kare, jisse hamare shayari ya Nazm se aap Wabasta rahe.

A Young women crying in corner and other sad text writen as "mehboob ki Galiyaan - Nazm", poster, photo


Main yeh har baar sochu phir bhi baith kar yahi sochta hu Maryam

Aakhir mujhe wahi Gulaab kyun Chahiye Aakhir to kyun aisa hai Maryam

Main woh andhere hu jiska sawera kabhi hua hi nahi

Main woh Geeli lakdi hu jo kabhi waqt pe Jali hi nahi

Main to woh hu jise kabhi waqt pe need hi nahi aayi

Main to woh hu jo kabhi waqt pe uthaa hi nahi

Main har baar kahi kabhi baithu to main yeh sochta hu Maryam

Aakhir Dukaandaar bhi mujhse raazi hai chaplo ka

Aakhir teri gali me aisa bhi kya hai Maryam

Teri Galti shayad kabhi thi hi nahi

Meri hi galti thi ke tujhse se Muhabbat karta tha

Main Jab bhi koi Gali me jata hu Maryam

Na jaane kyu main woh raasto se teri gali ki taraf mud jata hu Maryam

Aksar Yahi baat mujhe khaati rehti hai

Hamesha yahi baat se Pagal ho jata hu main

Aakhir kyu main uske liye jata hu

Aakhir main hamesha kyu itna uljhe uljhe baaton me ulajh jata Maryam

Meri Galiyon ki kahani mat koi sunne ke liye baithe

Main jab bhi koi galiyon me jaata hu wapas palat jata hu

Mere liye Gali waalo ne 'chalne' ka naam Munakid kiya hai Maryam

Maine to uspe bhi tere liye khushi se naam Qubool kiya hai Maryam

Meri Gliyon ki baatein khatam nahi hui hai ab tak

Shams teri woh hui nahi hai ab tak

Translation (Tarjuma): Oo mere dard manda dosto/behno chaliye shuru karte hai Mehboob ki galiyaan Nazm ka Translation yani tarjuma ya Tafseer karne ka safar. Shayar Shamsi farmaata hai ki jab kabhi bhi main kabhi kahi baith ke Maryam ke baare me kabhi sochta hu, ke aakhir mujhe Maryam ke siwa aakhir kyu koi accha nahi lagta to mere dil aur dimaag jawaab hi nahi dete.

Shams kehta hai main woh Andhera hu jis ki zindagi ka kabhi sawera hua hi nahi,aur kehta hai ki Maryam tere baare me soch soch kar tujhe Jaagte hue khwaabo me dekh dekh kar mujhe neend wali bhi neend kabhi waqt pe na aayi, Aur naa hi main kabhi waqt pe Neend se jaaga hu.

Phir Shams kehta hai Shayar kehta ki main woh hu jisne kabhi muhabbat ke safar me waqt pe sahi waqt pe kabhi kuch nahi kiya, Jo bhi kiya waqt jane ke baad kiya Guzarne ke baad kiya.

Phir wapas again Shayar kehta hai kahi mai kabhi bhi baithu agar to main yeh sochta hu Maryam aakhir main aisa kyu hu Maryam. Phir shayar kehta hai ki ab to teri galiyon me Chappalein ghis ghis kar aisa kamaal ho gaya hai ki Chappalo ka Dukaandaar meri kharedi se boht raazi ho gaya hai, Mujhe tu bata mai yeh samjh nahi paa raha ki teri gali main aisa bhi kya hai Maryam.

Naa chahte hue bhi shayar kehta hai ki teri galti kuch bhi nahi hai zara si bhi galti to meri hi thi na ke main tujhse muhabbat kiya karta hu Maryam, Phir kehta hai ki jab bhi main teri Galiyon se hatke kahi jaana chaahu tab bhi main jaa nahi paata huMujhe yeh bataa yeh kya hai Maryam.

Shamsi kehta hai ki agar main khudko Behlaa ke fuslaa ke Doosri kahi jaana bhi chaahu to nahi jaa paata hu, Aur yahi baat mujhe hameshaa sochne pe majboor kar deti hai Teri, Aakhir main kyu uljhe uljhe baaton me itna ulajh jata hu mujhe yeh zyaada sochna nahi chahiye tere baare me par khudko kyu nahi rok pata hu Maryam.

Aur Yahi soch kar mai pagal ho jata meri galiyon ki kahani bohot saare log aate hain par Har baar jab bhi main kisi aur ki baat karu teri baat kehna lagta hu Galiyon wale chale jaate hai Maryam.

Shayar shams kehta hai ki ab to Gali waalo ne mere liye naam bhi Munakid kardiya, Aur maine sirf teri muhabbat ki khaatir woh naam qubool bhi kar liya hai maryam, Ab tu hi bata yeh muhabbat hai Pagalpan hai ya Koi Sazaa hai Maryam.

Aakhir me kehta hai ki meri galiyon ki baatein abhi shuru hui hi nahi hain, agar shuru ho bhi gayi to khatam honi hi nahi hai.

Translation END here!

Conslusion: To Shayarana shamsi ki yeh Nazm "Mehboob ki Galiyaan" Ummed karta hu ki aapko bohot pasand aayi hogi, agar aapko yeh Nazm pasand aayi to make sure ki aap hamaari Website ko Bookmark karna na bhoole aur Hamaare YouTube channel ko SUBCRIBE karna bhi na bhoole, hum phir laotege ek aur nayi Nazm ya Shayarana Shamsi shayari ke 5th part ke saath, Jazakallah.

Check out our this YouTube video also ðŸ ‹

Check out our Recently Published Shayari Blogs:

Note: Please make sure to Bookmark our Website, to never get Miss our latest Shayaries, Nazms and Ghazals.